#1
Merighazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho on Sun Aug 28, 2011 7:22 am
Ek tamanna thi jis ki, woh khawab tum ho,
Hai sitaron ko bhi khabar, mera mehtaab tum ho.
Youn to kai chehre mile is zamane mein,
Magar dil ne kaha, nigahon ka aftaab tum ho.
Dekh kar phoolon ko hota hai yeh gumaan,
Mast baharon mein khila gulaab tum ho.
Dastaan-e-mohabbat ho, ya koi afsaana-e-dil,
Har bazm-e-yaraan mein, mera khitaab tum ho.
Likha hai main ne, ae dost, alfaaz-e-mohabbat,
Meri ghazal,mere ashaar,meri kitaab tum ho

Home

Posts

Awards Showcase 