#1
Badnaam mere on Fri Mar 25, 2011 7:43 am
Badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
Dewane bhi kahte hain ki dewana huaa hai
Rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne todaa
Apnaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai
Baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
Dil aap ke hote hue viiraana huaa hai
Bajte hain khayaalon mein terii yaad ke ghungruu
Kuchh din se meraa ghar bhii parikhaanaa huaa hai
Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
Jis phuul ko dekhuun vahii paimaanaa huaa hai

Arzoo.........
Nothing is good or bad,but thinking makes it so....

Home

Posts

Awards Showcase 